THANK YOU FOR SPARING YOUR TIME AND VISITING MY BLOG

Hi...
Me...
Well I try to write...
'N sometimes play along...
so...
There is some poetry...
'N some of them are songs...

Monday, June 14, 2010

"Aaj Mann Vichlit hai"

Aaj mann vichlit hai...
Khud ko aaine me dekha...
Khud ki parchaaie se darr gaya...
Aaina toota hua sapno sa...
Us baar phir maine pheka....

Ek roshni kahin doorr...
Meri khidki se dikh rahi thi...
Uske ujjale mein mera andhkaar jal gaya...
Ek parchaaie bani...
Aur main usse darr gaya...


Main, Sehma sa...
Us tim-timati roshni ke jaal mein...
Meri parchaaie se doorr badh chala...
Meri parchaaie mere kareeb thi...
Usse bachne ki chaah  mein...
Main Roshni ki oor badh chala...

Main, Jisne khud andhkaar banaya tha...
Hun uski khilafat mein khada hua...
Maine andhkaar apnaya tha...
Aur apne hi rajya mein...
Hun khudh ki parchaaie se dara hua...

Aaj is roshni mein khud ko maine paya hai...
Hisaab karne ko jee kare...
Kyun sab daaw pe laga diya...
Aur ek tinka bhi hath na aaya hai...

Khud ke rajya ko swayam nast kar...
Is samrajya mein saran lein...
Kya karein kya naa karein....
Aaj mann vichlit hai...
Kyunki sachchi raah pe...
ye mann "Doosri" baar aaya hai...
Aaj mann vichlit hai...
Kya karein kya naa karein...

No comments:

Post a Comment