THANK YOU FOR SPARING YOUR TIME AND VISITING MY BLOG

Hi...
Me...
Well I try to write...
'N sometimes play along...
so...
There is some poetry...
'N some of them are songs...

Monday, June 14, 2010

"Jiyun ya marjaun???"

Aaj meri dauwd ki surwaat hai...
Darshakon, bataein main kaise kartab dikhaun...
Jee karta hai Pani ke sang beh jaun...
Ghul mil kar tay karun raah...
Jheel se shuru kar pahunchun nadiyaa...
Nadiyaa se samandar mein main sama jaun...
Phir sang uske main chal-chalun...
Aur doorr bahut doorr nikal jaun...
Aur phir kisi nadiya ki dhara se nikal...
Uske kinare pe apna ghar banaun...
Khilun...Phalun...
Muskuraun...

Ya Pawan ke jhokon ke sang kheton mein lehlahaun....
Kisi ped ke aangan mein main apna ghar banau...
Kuch umar tak us gharaunde mein khelun-khaun....
Aur thoda bada hote hi kaat diya jaun...
Aur Banke kisi ka bhojan use sukh pahuchaun...

Ya Iswar ki manu...
Aur jungle pahuch jaaun...
Sang kisi janwar ke...
Main uski sawari ban jaun...
Usko ehsaas na ho...
Aur bin bhada diye utar jaun...
Aur wahin pe apna ghar banaun...

Khilun...Phalun...
Muskuraun...

Ya pita se chalakte hi...
Kisi jeev ke hath lag jaun...
Aur uske daton tale ussi chand...
Krurta bhare bal se chaba liya jaun...
Aur Banke ussi ka bhojan use sukh pahuchaun...

Beej hun ped kaa...
Apne baarein mein aur kya batlaun...
Bol Insaan tere manoranjan ke liye...
Aur kaun-kaun se kartab dikhaun...
Bol insaan teri Ikcha kya hai...
Jiyun ya marjaun???

1 comment:

  1. marne ki baat mat karo . . .jeena to tumhe har haal mein padega . . !

    ReplyDelete